Tuesday, September 29, 2020

JAB BADAL KI GARAJ SUNE




JAB BAADAL KI GARAJ SUNE⛈

🌩Aamir Bin Abdullah Bin Zubair (R.h) Bayan Karte Hai'n☆
"عبد الله بن الزبير أَنَّهُ كَانَ ‏إِذَا سَمِعَ الرَّعْدَ تَرَكَ الْحَدِيثَ ، وَقَالَ : سُبْحَانَ الَّذِي يُسَبِّحُ الرَّعْدُ بِحَمْدِهِ وَالْمَلَائِكَةُ مِنْ خِيفَتِهِ ، ثُمَّ يَقُولُ : إِنَّ هَذَا لَوَعِيدٌ لِأَهْلِ الْأَرْضِ شَدِيدٌ"

Abdullah Bin Zubair (R.a) Jab Baadal Ki Garaj Ki Awaaz Sunte Toh Baat Karna Chhord Dete The Aur Zubaan Se Yeh Alfaz Kahte☆
((سُبْحَانَ الَّذِي يُسَبِّحُ الرَّعْدُ بِحَمْدِهِ وَالْمَلَائِكَةُ مِنْ خِيفَتِهِ))
Paak Hai Woh Zaat Jiski Hamd Ke Saath Ra'ad Tasbeeh Karta Hai Aur Tamaam Farishte Bhi Iske Dar Se (Tasbeeh Karte Hai'n).
Phir Farmate: Be'shak Yeh Garaj Zameen Walo'n Ke Liye Sakht Wa'eed Hai☆

📖[ Al Adab-Ul-Mufrad:#723, Sanad: Sahih]